Dashboard ki screenshot.
Earn Section/Monetise Section.
yadi apne youtube channel ki iss tarah ki 3 screenshot lekar asani se kisi ko bhejna hai to sabse pahle channel ki gmail check kare ki kiss gmail se channel bana hua hai. fir usi gmail ko apne mobile phone ya laptop me kholna hai ya pahle se khuli hui hai. fir yadi yt studio app download hai to use kuchh der ke liye mobile se uninstall karke hata dena hai. fir apne chrome browser me jana hai. mobile laptop dono me same process hai lekin laptop me yt studo app pahle se nahi hota hai kyonki channel sidhe chome par hi khulta hai. to yadi apke pass mobile hai to usme chrome khona hoga fir ise desktop mode me ok karna hai upar 3 dot se. fir ytstudio.com serach karna hai aur sign in karna hai dhyan rahe apni vahi gmail se log in/sign karna hai jisme channel hai fir ek pop up ayega vaha continue to browser select karna hai. aur fir se apna channel select kar lena hai top right me logo pe click karke.